Friday, 30 March 2018

28 March 2017 .... thoughts in hindi :)

aaj subah ek baaz ko ek kabootar ko maarteh hue dekha ....
niyati mei yahi reeth hain ...aur uss ko krurta nahin kehte ...
ped ka kaatna Aam hain ...yahi sadiyon se chali aa rahi pratha hain
sainkadon pedon se ladhi hui neev ... iss saare jahan mei sainkadon imaraton ko abb bhi sambhale hue hain ....
koi pedh ko uss ke kaatne wale par dalon se ya phalon se chott pohonchate hue nahin dekha ya suna ....
woh pedh bhi janti hain ...ke shayad ussi din ke liye jee rahe hain .....
Galat uss ped ko katne mei nahin hain ... aur pedon ka na lagane mei hain ....
Aur Gaur karne wali baat yeh hain ...Ke ...har ek katte hue pedh ne ...na kabhi intekam kiya, na royeh, na bhag gaye, na uff ki ....
aur yeh kehna ke koi pedh ke chaun mei baith kar, uss pedh ko istamal kar rahein hain ...Shayad yeh uss Pedh ki Tauheen hogi ...
kyun ke joh apni saari umar katne ke liye ...jee jaan laga kar aasman ki aur badte hain ...unnko hum insaan ...shahadat dete hain ....
kyun ke jab bhi koi ..kahin iss duniya ke koi koone mei ek kitaab kholteh hain ...kahin koi pedh amar ho jati hain ...

No comments:

Conversations chez moi on 1st April 2017...

 Conversations chez moi  yesterday : little one to me ....if you say Yes to me mama (he needed an ice cream) i will teach you bad ..bad word...